Saturday, December 26, 2009

nakhasi sonchta huun

koi aag lagaaye koi dafan kar aaye
ye ruuh akhir kahan jaaye

koi quran koi gita padey
imaan ko kaun rakh paaye

wo kahey mera sach ye kahey mera sach
sach bolna lekin kahan aaye

aik ko kufr kaha aik ko kattar
insaan nazar kahan aaye

shankh bajnaa azaan ki ghoonj
uus tak kaun pohnch paaye

aik duusre pe hanstey hai ye mazhab k deewane
bachhey ka rona nazar n aaye

sabkuch baantnewalon ye zara batao
paani ko kyun baant n paaye

imaan imaandari aur sharafat
kitne hindu musalmaan paaye

ye dekhkar nakhasi sonchtaa huun
aisi duniya mei koi aaye to kyun aaye

anil nakhasi

No comments:

Post a Comment