Saturday, December 26, 2009

mei huun to ye nakhasi kaun

mei huun to ye nakhasi kaun
mei nahi to faani kaun

zikr mashwara raahat kisko
insaan kaun ruhaani kaun

sajdey mantra azaan
ye padta hai gurbaani kaun

maqsad zindagi ka kya
banaata hai ye kahani kaun

hansna rona kuch n kuch hona
inn sabka saani kaun

raas khelta hai aisa nahi hai to
ye meera diwaani kaun

mehfooz rakh luu to kissey.. kisko
ye karey hai manmaani kaun

saans bhi dadhkan bhi ruuh bhi dil bhi
in may uski nishaani kaun

pait ki khaatir zindaa hai insaan
failaata hai ye badgumaani kaun

khwaahish umeed aasraa khwaab
ye karwaata naadaani kaun

mukhtsar ye ki chup raho nakhasi
qatra puuchey paani kaun

No comments:

Post a Comment