Friday, November 29, 2013

Thursday, February 21, 2013

Asar uspar hotaa nahi goyaa ab
itni giraawat k baad b nahi royaa ab
wo shayad bohat pehley mar gayaa
imaaney usney khoyaa jab
raastey may sangdilon se n ullaj
inhonay hi raah may kaanton ko boyaa tab
aaj iss qadar itraa rahi hai raat
nakhasi yun bhi soyaa kab
Ghazal apni apni uthaakar chalo
kuch achhe sachey maasoom sher sajaakar chalo
garuur se mailaa huvaa hai kaagaz
siyaahi imaan ki bachaakar chalo
budaapey ka kya thikaana ki kis se paddey waastaa
mohabbat se aaj mehfil sajaakar chalo
harf bemaani beimaani aur nafrat ka kyun ho
nakhasi ghazal kuch aisi banaakar chalo
khair itney halkey hum bhi nahi thhe
ye tumhi thhe jo gir gaye
insaan tum bohat chhotey nikley
jo imaan se fir gaye
kehnaa to hai bohat kuch magar ae be murawat
achha hai ki muh mod ke nikal gaye
kya tawaqo karey tumse ki tum insaan hi nahi
baat baat pe rang badal gaye
halak se niwaalaa bhi utrey hai kaise inko
kisi aur ka haq jo ye nigal gaye
hun nakhasi ki majmey may uus khudaa ke
hum shamaa ki tarah chupchaap pigal gaye
raat ho gayi hai tum jalogi ki mei jalun
ghar bohat soona hai tum chalogi ki mei chalun
n kufr n khudaparast hi hun
dil ki baat tum kahogi ki mei kahun
bus kuch der ka safar hai iss jahan may
aagey tum badogi ki mei badun
kitnaa aasaan hai nakhasi ko sataana
mohabbat may tum jhukogi ki mei jhukun

Monday, January 28, 2013

ye jawaabon ki gumshudi sawaalon ki duniya
ye soney chaandi se saji biyaabaan si duniya
ye hawas ke aashiqon ki rangeen duniya
ye bhookey gareebon ki andheri duniya
ye banaawat k system ki laachaar duniya
ye paison ki baisaakhi pe sawaar duniya
ye nagaadey ye dhol peetey taraqqi ki duniya
ye beimaan ki beimaan duniya
ye sarfiron ki naajaayiz baaton ki duniya
ye shareefon ke kis kaam ki duniya
... ye bazaar may bikti huvi dholiyaan
ye unchey mehlon se lagnewaali boliyaan
ye sach bolne se qatraati duniya
ye siyasaat ki bimaar duniya
ye dhongi saadhu mulon ki duniya
ye loot rahey aalimon ki duniya
ye kis muh se dekhti hai nakhasi
girgit ki tarah rang badley ye duniya